Urs Wisal Ke Din Kyu Karte Hai (Roman Urdu)
*Sayyidi Ala Hazrat رحمة اللّٰه تعالى عليه* Se Suwal Huwa : Huzoor, *Buzurgane Deen* Ki Aaraas ( Urs Ki Jama ) Ki Ta`een ( Yani Urs Ka Din Muqarrar Karne ) Me Bhi Koyi Maslahat ( Yani Koyi Khaas Wajah Ya Hikmat ) Hai ? To Is Ke Jawab Me, *Farmaaya :* *Haan, Auliya-e-Kiraam Ki Arwaahe Tayyiba ( Mubaarak Roohon ) Ko Unke Wisaal Ke Din Quboore Kareemah Ki Taraf Tawajjoh Zyada Hoti Hai, Chunanche Woh Waqt Jo Khaas Wisaal Ka Hai, Akhze Barakaat ( Yani Barakate Haasil Karne ) Ke Liye Zyada Munaasib Hota Hai.* ( ملفوظات اعلی حضرت، حصہ ٣، ص ٣٨٣، مطبوعہ : مکتبۃ المدینہ۔ )