Azaan Me Kalimaat Ka Izafa, Azaan Me Elaan, Gharon Me Namaz Padhlo (Roman Urdu)
Mufti Muhammad Shareeful Haqq Amjadi رحمة اللّٰه تعالى عليه Farmate Hai :
( Hadees Shareef Me ) Huzoore Aqdas صلى الله تعالى عليه وسلم Ne Azaan Ke Bad Yeh Elaan ( Ke Namaz Gharon Me Padhlo Ka Elaan ) Karaaya Tha, Huzoor صلى الله تعالى عليه وسلم Ka Fe'l Bilaa Shubah Laayiqe Tarjeeh Hai, Ilawah Azee ( Yani Iske Ilaawa ) Hazrate Ibne Abbaas رضي الله تعالى عنهما Ki Hadees Me Iztiraab Bhi Hai, ( Bukhari Shareef Ke Ek Chapter ) Kitaabe Salaat Ki Donon Riwayaton Me Hai Ke Jab Muazzin
حي علي الصلوة
Par Pahuncha To Farmaaya Ke :
الصلوة في الرحال
Pukaardo.
Aur Kitaabul Jumuah Ki Jo Riwaayat Hai Us Se Yeh Zaahir Hota Hai Ke Azaan Shuroo Karne Se Pehle Hi Muazzin Ko Hidaayat Kardi Thi, ( Batadiya Tha ) Ke,
حي على الصلوة
Mat Kehna,
صلوا في بيوتكم
Kehna, Agarche Yeh Iztiraab Door Hosakta Hai To Tarjeeh Ki Asl Wajah Wahi Huwi Ke Irshaade Rasool ( صلى الله تعالى عليه وسلم ), Fe'le Sahaabi ( Yani Sahaabi Ke Tareeqe ) Par Muqaddam Hoga.
( نزهة القاري ج ٢ ص ٣٠٧ )
Aur Doosri Riwayat Ke Baare Me Farmate Hai :
Is Hadees Se Saabit Huwa Ke Sunnat Yahi Hai Ke Kalimaate Azaan Me Kuch Daakhil Na Kiyaa Jaaye Bad Me Pukaara Jaaye.
( نزهة القاري ج ٢ ص ٣١٤ - ٣١٥ )
-----
Hazrate Ibne Umar رضي الله تعالى عنهما Ne Ek Thandi Aur Hawa Waali Raat Me Namaaz Ki Azaan Kahi Phir Farmaaya Ke Gharon Me Namaaz Padhlo Phir Farmaya Ke Nabiyye Kareem صلى الله تعالى عليه وسلم Jab Thandi Aur Baarish Waali Raat Hoti To Muazzin Ki Hukm Dete The Ke Yu Kahe Ke :
الا صلوا في الرحال
Yani Namaz Gahroh Me Padhlo.
( مشکوۃ المصابیح، الحدیث : ١٠٥٥ )
Ghulam Rasool Razavi Farmate Hai : Donon Tarah Jayiz Hai Magar Behtar Ye Hai Ke Azaan Ke Baad Kaha Jaye.
( تفهيم البخاري ج ١، ص ٩٨٥ حديث ٦٠٩ )
Comments
Post a Comment