Bad Mazhabon Se Mail Jool, Bad Mazhabon Ke Saath Baithna, Bad Mazhab Se Kaisa Bartaav Kare ? Qadriyah Firqe Ka Hukm (Roman Urdu)
Aaqaa E Do Jahan صلى الله تعالى عليه وسلم Ne Farmaya : Qadriyah ( Taqdeer Ke Munkir ) Is Ummat Ke Maujoosi Hai.
( ابو داود حديث ٤٦٩١ )
Nabiyye Kareem صلي الله تعالى عليه وسلم Ne Farmaya : Qadriyon Ke Saath Nashist O Barkhaast Na Rakho Na In Se Kalaam Ki Ibtida Karo.
( مشكاة المصابيح حديث ١٠٨ )
Yahan Tak Ke Qadriyon Ko Salam Karne Se Bhi Mana Farmaya :
Rasoole Do Jahan صلى الله تعالى عليه وسلم Ne Farmaya : Allah Ki Taqdeer Ke Munkir Is Ummat Ke Majoosi Hai, Jab Woh Beemaar Ho To Unki Iyaadat Na Karo, Marjaye To Inke Janaze Me Na Javo Aur Jab Un Se Milo To Inhe Hargiz Salaam Na Karo.
( سنن ابن ماجه حديث ٢٤٨٣ )
Sultane Do Jahan, Mahboobe Rahman صلي الله تعالى عليه وسلم Ne Farmaya : Meri Ummat Me Do Giroh Aise Hai Jin Ka Islaam Me Koyi Hissa Nahi Woh Murjiah Aur Qadriyah Hai.
( سنن ابن ماجه حديث ٢٤٨١ )
Comments
Post a Comment