Bura Kaam Dekhe To Haath Se Roke, Bura Kaam Ko Dil Me Bura Jaanna, Neki Ki Dawat (Roman Urdu)
*1) Nabiyye Paak صلى اللّٰه تعالى عليه وسلم Ne Irshaad Farmaaya : Jo Tum Me Se Bura Kaam Dekhe To Use Haath Se Rokde Agar Is Ki Taaqat Nahi Rakhta To Zabaan Se Agar Is Ki Bhi Taqat Nahi Rakhta To Dil Se¹ Aur Ye Sab Se Kamzor Eemaan Hai.*
( مشکوٰۃ المصابیح، باب الامر بالمعروف، الحدیث : ٥١٣٧۔ )
1) Dil Se Us Buraayi Ko Bura Samjhe Agarche Ye Eemaan Ka Kamzor Tareen Martabah Hai.
( مرآۃ المناجیح، تحت الحدیث : ٥١٣٧۔ )
*2) Nabiyye Kareem صلى اللّٰه تعالى عليه وسلم Ne Irshaad Farmaaya : Jab Zameen Me Gunaah Kiya Jaaye To Jo Wahan Maujood Ho Aur Woh Use Na Pasand Kare To Aisa Hai Jaise Wahan Maujood Nahi Aur Jo Maujood Nahi Lekin Us Se Raazi Hai To Woh Aisa Hai Jaise Maujood Ho.*
( مشكوة المصابيح، باب الامر بالمعروف، الحديث : ٥١٤١. )
Comments
Post a Comment