Faasiq Ki Tareef Karna Kaisa ? Kaafir Ki Tareef Ka Hukm (Roman Urdu)

 *Nabiyye Kareem ﷺ Ne Farmaya :*


*Jab Faasiq Ki Tareef Ki Jaati Hai To Allah تعالیٰ Ghazab Farmaata Hai Aur Iske Sabab Arshe Ilaahi Hiljaata Hai.*


( مشکوۃ المصابیح، الحدیث ٤٨٥٩ )


*Mufti Sahab Is Hadees Shareef Ki Explanation Karte Huwe Farmaate Hai :*


*Yani Gunahgaar, Badkaar Logonki Tareef Karna Khushaamad Ke Liye Ya Unse Kuch Duniyavi Nafa' ( Yani Fayida ) Haasil Karne Ke Liye Mamnoo' ( Yani Mana ) Hai, ( Aisa Karna ) Allah تعالیٰ Ki Naarazgi Ka Baais ( Yani Sabab ) Hai.*



*Arshe Ilahi Ka Hilna Allah تعالى Ke Ghazab Ke Izhaar ( Yani Zaahir Karne ) Ke Liye Hai Ke Ye ( Us Faasiq, Gunahgaar ) Ki Tareef Kar Raha Hai.*


( مرآۃ تحت الحديث : ٤٨٥٩، بتغیر قلیل )



Ye Hukm To Musalmaan Gunahgaar Logonki Tareef Ke Liye Hai, 


*Aala Hazrat عليه رحمة ربّ العزّت Farmaate Hai :*


*Jab Faasiq ( Gunahgar Shakhs ) Ki Madh ( Yani Tareef ) Par Yeh Hukm Hai To Mushrik Kaha (?), Us ( Kaafir, Mushrik ) Ki Madh ( Tareef ) Kis Darajah Baaise Ghazabe Shadeede Rabb عزوجل Hogi!*


( فتاویٰ رضویہ جدید، ج ١٤، ص ٤٠٩، مسئلہ ١٦٣-١٦٩، مطبوعہ : رضا فاؤنڈیشن لاہور۔ )


*Yani* Jab Musalmaan Faasiq Ki Tareef Par Allah تعالیٰ Naraaz Ho Aur Arsh Hilne Lage To Sochne Waali Baat Hai Ke Ek Mushrik, Kaafir Ki Tareef Par Allah تعالیٰ Ki Kitni Ghazab Hoti Hogi ? Allah تعالیٰ Kis Qadar Naraaz Hota Hoga ?.

Comments

Popular posts from this blog

Kya Bukhari Shareef Me Saari Ahadees Sahi Hai ? Sihah Sitta Ka Kay Matlab Hai ? (Roman Urdu)

Shadi Ki Fazilat, Shadi Shuda Ki Namaz (Roman Urdu)

Tauba Ke Sharait, Tauba Ke Rukh, Haqqul Abd Ke Talaf Hone Par Tauba, Gunah Par Qaaim Rehkar Taubah Ka Hukm, Poshida Gunaah Ki Taubah, Elaaniyah Gunaah Ki Taubah, Jo Kisi Ko Hidayat Ki Taraf Bulaye Uska Sawaab, Tableegh Ka Sawaab, Neki Ki Dawat Ki Fazilat, Burayi Ki Dawat Ki Mazammat