Ghause Azam Foundation, Fuqara Ko Khaana Khilana, Masakeen Ko Khilana, Gharibon Ko Khana Khilana, Sadqa Khairaat Ke Fazail
*Allah تعالیٰ* Ka Karod`ha Ehsan Ke Usne Hame Musalman Banaaya Aur Karam Balaaye Karam Ke Usne Hame Apne *Mahboobe Kareem ﷺ* Ka Ummati Banaaya, Ham Par Kayi In'aamaat Farmaaye, Tarah Tarah Ki Ni'maton Se Nawaza, Inhi Me Se Ek Ni'mat Faraakh Dasti Hai, Ham Me Se Kayion Ko Is Maal Ki Ni'mat Se Nawaza....
Fee Zamana Wuqoo' Ka Mushahada Hai Ke Subah Se Shaam Tak Ham Fuzool Kharchi To Bohut Karte Hai, Hamare Paas Rehne Wali Ahsiya Ki Qimat Saikdon Balke Hazaron Me Hoti Hai, Jaise Ek Mobile Hi Ko Le Liya Jaaye, Is Par Baz Itna Kharch Kar Jaate Hai Ke Uski Qimat Sun Kar Hi Baal Khade Hojate Hai, Ilawa Is Ke Ghar Me TV Fridge, Fulah Machine To Fulah Waghaira Me Behtareen Ke Chunav Karne Me Hazaron Khone Bhi Log Tayyar Hote Hai... Magar! Jab Baat Nek Kamon Me Kharch Karne Ki Ho To Hamare Hath Bacchon Ke Hathon Se Bhi Chote Hojate Hai
Jis Tarah Har Kaam Me Ham Behtareen Ka Chunaav Karte Hai, Isi Tarah Nek Kaamon Me Bhi Behtareen Ka Chunav Kare ? Aayiye Mai Aap Ko Bataata Hu Ek Behtareen Kaam Jo Qaleel Maal Se Bhi Hosakta Hai!
Aur Woh Aisa Fe'le Khair Ke Is Se Taqdeere Bhi Badal Jaave To Kuch Baeed Az Qiyas Nahi!
Woh Kaam Hai :
Ghuraba Aur Masakeen Ko Khana Khilana....
Kisi Ko Khaana Khilana Hi Aisa Amr Hai Ke Is Ke Kayi Tarah Ke Fazaail Mazkoor Hai, Ek Riwayat Me To Behtareen Amal Isi Kaam Ko Qaraar Diya Gaya!
Chunanche :
*Bukhari Shareef Ki Riwayat Hai :*
*Sayyiduna Abdullah Bin Amroo Bin Aas رضى اللّٰه تعالى عنهما Farmaate Hai : "Ek Shakhs Ne Noor Ke Paikar, Tamaam Nabion Ke Sarwar, Mahboobe Rabbe Akbar عزّوجلَّ و صلى اللّٰه تعالى عليه وسلم Se Poocha : Islam Ka Sab Se Behtareen Amal Kaunsa Hai ? Farmaaya : Khaana Khilaana Aur Har Musalmaan Ko Salaam Karna Khwah Tum Use Jaante Ho Ya Na Jaante Ho."*
( بخاري، كتاب الايمان، باب اطعام الطعام من الاسلام، رقم : ١٢، ج ١، ١٦. )
Aur Khane Khilane Walon Ke Liye Ek Aur Riwayat Me Hai :
*"Huzoore Paak, Saahibe Laulaak, Sayyaahe Aflaak صلى اللّٰه تعالى عليه وسلم Ne Irshaad Farmaaya : Rahmaan عزّوجلّ Ki Ibaadat Karo Aur Khana Khilaya Karo Aur Salaam Ko Aam Karo, Salamati Ke Sath Jannat Me Dakhil Hojavoge."*
( ترمذی، كتاب الاطعمة، باب ماجاء في فضل اطعام الطعام، رقم : ١٨٦٢، ج ٣، ص ٣٣٨. )
Ye To Khana Khilane Ke Hi Ye Fazail Hai To Khaas Kar Bhookon Ko Khilane Ke Fazail To Kya Kehne!
"*Farmaya Huzoor Rahmatullil Aalameen ﷺ Ne :"*
*"Sab Se Afzal Sadqah Bhooki Jaan Ko Shikam Sair Karna Hai."*
( شعب الایمان، فصل فی الطعام، باب فی الزکاۃ، رقم : ٣٣٦٧، ج ٣، ص ٢١٧۔ )
Bhookon Ko Khana Khilane Walon Ke Liye Sila To Jannat Hai!
*"Tajdaare Risalat, Shehanshahe Nubuwwat, Makhzane Jood O Sakhawat, Paikare Azmat O Sharaafat, Mahboobe Rabbul Izzat, Muhsine Insaaniyat صلى اللّٰه تعالى عليه وسلم Ne Irshaad Farmaaya : Bhooke Musalmaan Ko Khaana Khilana Jannat Ko Wajib Karne Waale Aamaal Me Se Hai."*
Ek Aur Riwayat Me Hai :
*"Bhooke Musalmaan Ko Khaana Khilana Rahmat Ko Wajib Karbe Waale Aaamal Me Se Hai."*
( الترغيب والترهيب، كتاب الصدقات، باب الترغيب في اطعام وسقي الماء، رقم : ٩، ج ٢، ص ٣٥. )
Balke Jannat Me Dakhila Bhi Unka Aise Darwaze Se Ke Jiske Baare Me,
*"Huzoor Pur Noor صلى اللّٰه تعالى عليه وسلم Ne Irshaad Farmaaya : Jisne Kisi Bhooke Mumin Ko Pet Bhar Kar Khilaya To Allah تعالیٰ Use Jannat Ke Darwazon Me Se Aise Darwaze Se Dakhil Farmaayega Jis Se Usi Jaise Log Daakhil Honge."*
( طبراني كبير، رقم ١٦٢، ج ٢٠، ص ٨٥. )
Balke Ye Itna Behtareen Amal Ke Jis Ka Andaza Is Riwayat Se Lagaya Jasakta Hai Jisme,
*"Pyaare Aaqa صلى اللّٰه تعالى عليه وسلم Ne Is Ki Fazilat Me Yahan Tak Irshaad Farmaaya Ke : Allah تعالیٰ Malaaikah Ke Saamne Apne Un Bandon Par Fakhr Karta Hai Jo Logon Ko Khaana Khilaate Hai."*
( الترغيب والترهيب، كتاب الصدقات، باب الترغيب في اطعام الطعام..الخ، رقم : ٢١، ج ٢، ص ٣٨. )
Ab Jab Ghuraba Aur Masakeen Ko Khilayen To Lazim Ke Isse Unko Bohut Khushi Hogi, Aur Ghuraba Wa Masakeen Apne Khilane Waale Ki Haqq Me Duayen Karenge, Kya Khabar Ke Isi Se Hamari Taqdeere Badal Jaaye!
Kyunke,
*"Huzoore Purnoor ﷺ Ne Irshaad Farmaaya : Taqdeer Ko Radd Nahi Karti Magar Dua."*
( مشکوٰۃ المصابیح، باب البر والصلة، الفصل الثاني، الحديث : ١٥ (٤٩٢٥) )
*Allah تعالیٰ* Ki Ataa Karda Apni Daulat Ko Is Kaam Me Sarf Karke In Riwayat Me Mazkoor Ajre Azeem Ke Mustahiq Bane, Ab Ek Suwal Ye Bhi Zehan Me Logon Ke Aata Hai Ke Aur Log Kehrahe Hote Hai Ke : Aaj Ham Miskeenon Aur Ghuraba Ko Kahan Dhoonde ? Ye To Mushkil Kaam Aaj Ke Daur Me Hochuka Hai To Ye Kaam Ab Ham Kaise Karsakte Hai ?
To Is Par Arz Hai Ke : Jaipur Jo Ke Rajasthan Me Waqi' Hai, Hamare Musalman Bhaione Ek Foundation Qaaim Kiya Jiske Zaree'eh Har Hafte Gareebon Aur Miskeenon Ke Liya Khane Ka Intezam Kiya Jata Hai.
Khushkhabari Hai Un Musalmanon Ke Liye Jo Masakeen Wagaira Ko Khana Khilakar Ajre Azeem Hasil Karna Chahte Hai, Un Logon Ke Liye Ab To Bohut Zyada Aasani Is Foundation Ki Janib Se Hogayi.
Jaane Ke Rajasthan Jaane Ki Na Zaroorat, Bankon Ke Chakkare Katne Ki Na Hajat!
Balke :
Jo Bhi Is Nek Kaam Me Saath Dena Chaahe Contact Kare, Qimat *50* Rs Per Member.
Aap Is Number Par { 8233529768 }, { Paytm, PhonePe, Google Pay } Wagaira Se Bhi Pay Kar Sakte Hai..👇👇👇
Is Nek Kaam Me Jaldi Kare! Neki Me Der Nahi Karni Chaahiye.
*"Huzoor Shehanshahe Do Aalam ﷺ Ne Farmaaya : Itminaan se Karna Har Kaam Me Accha Hai Siwaye Aakhirat Ke Kaam Me."*
( مشکوٰۃ المصابیح، باب الحذر والتأني في الامور، الفصل الاول، الحديث : ٦ ( ٥٠٥٨ ) )
Yani : *Duniyavi Kaam Me Der Lagaana Accha Hai.*
*Magar Aakhirat Ka Kaam To La Muhaala Accha Hi Hai, Use Mauqa Milte Hi Karlo Ke Der Lagane Me Shayad Mauqa Jaata Rahe.*
( مرآۃ المناجیح، ج ٦، ص ٤٨٧، تحت الحدیث : ٥٠٥٨، مطبوعہ : نعیمی کتب خانہ، گجرات۔ )
Is Foundation Ke Director *:*
Mohammed Khalid Saifullah Director Of Ghose -e- Azam Foundation Jaipur Rajasthan.
*Ghose -e- Azam Foundation Working Video Open Kar Ke YouTube Par Bhi Aap Dekh Sakte Hai :*
1. https://youtu.be/dpF4J2SLFLw
2. https://youtu.be/hWp-hZNoSFI
3. https://youtu.be/18JI89n7BaA
4. https://youtu.be/DF04pvUoBkk
Comments
Post a Comment