Khat Me Salaam Ho To Uska Jawab, Message Me Salaam Ka Jawab, Message Wali Salam Ka Jawab, Khat Ke Salaam Ka Jawab, Jawab Dene Ka Tariqa

 Khat Me Salaam Likkha Hota Hai Uska Bhi Jawab Dena Wajib Hai Aur Yahan Jawab 2 Tarah Hota Hai, Ek Ye Ke Zabaan Se Jawab De, Doosri Surat Ye Ke Salaam Ka Jawab Likh Kar Bheje, Magar Chunke Jawabe Salaam Fauran Dena Waajib Hai Jaisa Ke Ooper Mazkoor Huwa To Agar Fauran Tahreeri Jawab Na Ho Jaisa Ke Umooman Hota Hai Ke Khat Ka Jawab Fauran Nahi Likkha Jaata, Khwah Makhwa Kuch Der Hoti Hai To Zaban Se Jawab Fauran Dede, Taake Taakheer Se Gunaah Na Ho.


Ala Hazrat Qiblah قدس سرہ Jab Khat Padha Karte To Khat Me Jo Salaam Likkha Hota Hai Uska Jawab Zabaan Se Dekar Bad Ka Mazmoon Padhte.

( Bahare Shariat, Hissa 16, Salaam Ka Bayaan, Masaaile Fiqhiyyah, Mas`alah 25. )

Comments

Popular posts from this blog

Hamare Nabi Hai Aakhri Nabi صلى الله عليه وسلم (Roman Urdu)

Kya Bukhari Shareef Me Saari Ahadees Sahi Hai ? Sihah Sitta Ka Kay Matlab Hai ? (Roman Urdu)

Sitaron Jitni Nekiyan, Ek Riwayat Ke Hawale Se Muhaddiseen Ki Aara