Shadi Ki Fazilat, Shadi Shuda Ki Namaz (Roman Urdu)
Hadees Shareef Me Hai :
*Shadi Shudah Ki 2 Rakate Ghair Shaadi Shuda Shakhs Ki 70 Rakaaton Se Aur Ek Riwayat Ke Mutabiq 82 Rakaton Se Behtar Hai.*
( جامع صغیر، ص ٣٠٠، حدیث : ٤٨٦٧، دار الکتب العلمیہ، بیروت۔ )
( الاحادیث المختارہ، مسند انس بن مالک، ٦/١١٠، حدیث : ٢١٠١، دار الخضر، بیروت۔ )
Is Aakhri Hadeese Paak Me Shadi Shuda Ke Liye Namaaz Ke Muamle Me Jo Fazeelat Zikr Ki Gayi Hai Is Ki Wajah Bayaan Karte Huwe Allama Abdurraoof Manaavi رحمة اللّٰه تعالى عليه Farmaate Hai : Galiban Is Ki Wajah Ye Hai Ke Gair Shaadi Shuda Ke Muqable Me Shadi Shuda Aadmi Ke Hawaas Qaabu Me Rehte Hai, Hausle Mazboot Hote Hai Aur Use Khusoo' Wa Khuzoo Zyada Haasil Hota Hai Jo Ke Ibaadat Ki Rooh Hai.
( تیسیر شرح جامع الصغیر، حرف الراء، ١/٣٦، مکتبۃ الامام الشافعی الریاض۔
( فیض القدیر، ٤/٢٠٧، تحت الحدیث : ٤٨٦٧، دار الکتب العلمیہ، بیروت۔ )
*Hazrate Sayyiduna Abu Zar رضى اللّٰه تعالى عنه Se Marwi Hai : Ke Rasoolullah صلى اللّٰه تعالى عليه وسلم Ki Khidmat Me Ek Martabah Akkaaf Bin Bishar Tameemi Sahaabi رضى اللّٰه تعالى عنه Haazir Huwe, Rasoole Kareem, Raoof-ur-Raheem صلى اللّٰه تعالى عليه وسلم Ne Istifsaar Farmaaya : Akkaaf! Tumhari Koyi Biwi Hai ? Arz Ki Nahi, Poocha : Koyi Baandhi Hai ? Arz Ki : Nahi, Farmaaya : Tum Maaldaar Ho Bhi Ho ? Arz Ki : Ji Ha, Farmaaya : Tab Tum Shaitaan Ke Bhaayi Ho, Agar Tum Eesaayion Me Hote To Un Ke Raahibon Me Shumaar Hote, Hamaari Sunnat To Nikaah Karna Hai, Tum Me Bad Tareen Log Woh Hai Jo Kunvaare Hai, Aur Ghatyatareen Maut Marne Waale Bhi Woh Hai Jo Kunvaare Hai, Kya Tum Shaitaan Se Ladte Ho ? Shaitaan Ke Paas Nek Aadamion Ke Liye Auraton Se Zyada Kaargar Hathiyar Koyi Naho, Haa Agar Woh Nek Log Shaadi Shuda Ho ( To Shaitaan Ke Hathyaar Se Bach Jaate Hai ) Wahi Log Pakeezah Aur Gandagi Se Mahfooz Hote Hai, Akkaaf! Nikaah Karlo Warna Tazabzub Ka Shikaar Hoge, Unhone Arz Ki : Ya Rasoolallah صلى اللّٰه تعالى عليه وسلم Aap Khud Hi Kisi Se Mera Nikaah Kardijiye, Rasoole Paak, Saahibe Laulaak صلى اللّٰه تعالى عليه وسلم Ne Farmaaya : Maine Kareemah Binte Kulsum Himyari Se Tumhara Nikaah Kardiya.*
( مسند احمد، مسند الانصار، ٨/١٠٣, حديث : ٢١٥٠٦، ملتقطا۔ دار الفکر، بیروت۔ )
( اسلامی شادی، ٢١-٢٣، مکتبۃ المدینہ دعوت اسلامی۔ )
______________________
Comments
Post a Comment