Shave Qadr Kab Hai ? 27 Ramazan Shabe Qadr (Roman Urdu)

 *Buzurgaane Deen Aur Mufassireen Aur Muhaddiseen رحمهم الله تعالى اجمعين Ka Shabe Qadr Ke Ta'ayyun ( Kisi Ek Raat Ko Fix Hone ) Me Ikhtelaaf Hai, Tahaam ( Phir Bhi ) Bhaari Aksariyyat Ki Raaye Yahi Hai Ke Har Saal Maahe Ramazanul Mubaarak Ki 27vi Raat Hi Shabe Qadr Hai.*

( فیضان رمضان ص ١٩٩، مکتبۃ المدینہ )


*Hazrate Sayyiduna Ubayyi Bin Ka'ab رضى اللّٰه تعالى عنه Ke Nazdeek 27vi Shabe Ramazan ( Ramazan Ki Raat ) Hi Shabe Qadr Hai.*

( مسلم، ص ٣٨٣ حدیث ٧٦٢ ( ٢٦٣٣ ) )



*Hazrate Sayyiduna Shaah Abdul Azeez Muhaddis Dehalvi رحمة الله تعالى عليه Farmate Hai Ke Shabe Qadr Ramazan Shareef Ki Sattaees ( 27 ) vi Raat Hoti Hai, Apke Bayan Ke Taeed Ke Liye Unhone Do Dalaalil Bayan Farmaye Hai : 1) ليلة القدر Me Nau (9) Huroof Hai Aur Yeh Kalimah Suratul Qadr Me Teen (3) Martabah Hai, Is Tarah 3 Ko Nau Se Zarb (3x9) Dene Se Haasil Zarb Sattaees (3x9=27) Aata Hai Jo Ke Is Baat Ki Taraf Isharah Karta Hai Ke Shabe Qadr 27vi Raat Hai.*


*2) Is Sura E Mubarak ( Suratul Qadr ) Me Tees (30) Kalimaat Hai ( Yani Tees (30) Alfaz Hai ), Sattaeesvah هي Hai Jiska Markaz ليلة القدر Hai, Goya Allah Ki Taraf Se Nek Logon Ke Liye Yeh Ishaarah Hai Ke Ramazan Shareef Ki Sattaeesvi Shabe Qadr Hoti Hai.*

( تفسير عزيزی ج ٣ ص ٢٥٩ )

Comments

Popular posts from this blog

Kya Bukhari Shareef Me Saari Ahadees Sahi Hai ? Sihah Sitta Ka Kay Matlab Hai ? (Roman Urdu)

Shadi Ki Fazilat, Shadi Shuda Ki Namaz (Roman Urdu)

Tauba Ke Sharait, Tauba Ke Rukh, Haqqul Abd Ke Talaf Hone Par Tauba, Gunah Par Qaaim Rehkar Taubah Ka Hukm, Poshida Gunaah Ki Taubah, Elaaniyah Gunaah Ki Taubah, Jo Kisi Ko Hidayat Ki Taraf Bulaye Uska Sawaab, Tableegh Ka Sawaab, Neki Ki Dawat Ki Fazilat, Burayi Ki Dawat Ki Mazammat