Tableegh Ki Ahmiyyat, Woh Ham Me Se Nahi Jo Acchayi Hukm Aur Burayi Se Mana Na Kare (Roman Urdu)
Tableegh Ki Ahmiyyat Ka Andaaza Is Hadees Shareef Se Lagaye :
Nabiyye Akram صلى اللّٰه تعالى عليه وسلم Ne Farmaya : Woh Ham Me Se Nahi¹ Jo Hamare Choton Par Reham Na Kare Aur Hamare Badon Ki Tazeem Na Kare² Aur Acchi Baaton Ka Hukm Na Kare Aur Buri Baaton Se Mana Na Kare.³
( مشکوۃ المصابیح، الحدیث : ٤٩٧٠ )
Is Hadees Shareef Ki Tashreeh :
1) Yani Hamari Jamaat Se Ya Hamare Tareeqe Waalon Se Nahi Ya Hamare Pyaron Se Nahi Ya Ham Us Se Bezaar Hai Woh Hamare Maqbool Logon Me Se Nahi, ( Is Farman Ka ) Ye Matlab Nahi Ke Woh Hamari Ummat Ya Hamari Millat Se Nahi Kyunke Gunah Se Insan Kaafir Nahi Hota Ha, Jo Hazraate Ambiyaa E Kiraam ( عليهم الصلوة والسلام ) Ki Tauheen Kare Woh Islam Se Khaarij Hai.
2) Yani Apne Se Choton Par Reham Na Kare, Apne Se Badon Ka Adab Na Kare, Chotayi Ya Badayi Khwah Umr Ki Ho Khwah Ilm Ki Khwah Daraje Ki Ye Farmaan Bohut Aam Hai.
3) Har Shakhs Apni Taaqat Aur Ilm Ke Mutabiq Deeni Ahkaam Logon Me Jaari Kare Ye Sirf Ulama Ka Hi Farz Nahi Sab Par Laazim Hai, Haakim Apne Haath Se BurayiyanRoke, Aalim Aam Zabani Tableegh Se Ye Farz Anjaak De Fi Zamaana Is Se Bohut Ghaflat Hai.
( مرآۃ تحت الحدیث : ٤٩٧١ )
Comments
Post a Comment