Takhne Se Neeche Paijama Pehanna Kaisa ? Namaz Me Takhnon Se Neeche Paijama Hona Kaisa ? Aurat Ka Aise Kapde Pehanna Kaisa ? (Roman Urdu)

 *Huzoore Aqdas ﷺ Ne Farmaaya : Jo Shakhs Apna Kapda Takabbur Se Neecha Karega, Allah تعالیٰ Qiyamat Ke Din Uski Taraf Nazar Nahi Farmayega.*

( صحیح البخاري،کتاب اللباس، باب من جر إزارہ من غیرخیلاء،الحدیث:۵۷۸۴،ج۴،ص۴۵۔ )


Kapdon Me Isbaal Yani Itna Neecha Kurta, Jubbah, Pajamah, Tehband ( Lungi ) Pehanna Ke Takhne Chup Jaaye Mamnoo' ( Yani Mana ) Hai, Ye Kapde Aadhi Pindli ( Pindli - Yani Takhne Aur Ghutne Ke Darmiyan Paavo Ka Hissa, To Pindli ) Se Le Kar Takhne Tak Ho Yani Takhne Na Chupne Paaye.


Magar Pajama Ya Tehband Bohut Ooncha Pehanna Aaj Kal Wahabion Ka Tariqa Hai, Lihaza Itna Ooncha Bhi Na Pehne Ke Dekhne Waala Wahabi Samjhe, Is Zamane Me Baz Logone Pajame Bohut Pehanne Shuroo Kardiye Hai Ke Takhne To Kya Ediya ( Heel ) Bhi Chup Jaati Hai.


Hadees Me Is ( Tarah Takhne Se Neeche Paijama Rakhne ) Ki Sakht Mumana'at Aayi. ( Yani Sakhti Se Mana Kiya Gaya )


Yahan Tak Ke *Irshaad Farmaaya : Takhne Se Jo Neecha Ho Woh Jahannam Me Hai.*

( صحیح البخاري، کتاب اللباس، باب ما اسفل من الکعبین فھو في النار، الحدیث :۵۷۸۷، ج۴، ص۴۶. )


Aur Baz Log Itna Ooncha ( Pant ) Pehante Hai Ke Ghutne Bhi Khul Jaate ( Yani Ghutne Bhi Dikhte Rehte ) Hai, Jis Nicker Kehte Hai, Ye Nasranion ( Christians ) Se ( Musalmanon Ne ) Seekha Hai, Ooncha Pehante Hai To Ghutne Khol Dete Hai Aur Neecha Pehante Hai To Ediyan Chupa Dete Hai, Ifraat O Tafreet ( Had Se Badhne Ya Had Se Ghatne ) Se Alaihada ( Alag ) Ho Kar Masnoon Tariqa Nahi Ikhtiyar Karte.


Baz Log Chodi Daar Pajama Pehante Hai, Is Me Bhi Takhne Chupte Hai Aur Uzoo ( Yani Jisme Ke Part ) Ki Poori Hai`at ( Yani Haalat, Kaifiyyat ) Nazar Aati Hai. Auraton Ko Bil Khusoos ( Specially ) Chodi Daar Pajama Nahi Pehanna Chaahiye, Auraton Ke Pajame Dheele Dhaale Ho Aur Neeche Ho Ke Qadam Chup Jaaye, Un Ke Liye Jahan Tak Paavo Ka Zyadah Hissa Chupe Accha Hai.

( بہار شریعت حصہ ١٦، لباس کا بیان، مسئلہ ٣٨۔ )


Yani Auraton Ko Takhnon Se Neeche Pehanna Bhi Durust Magar Mardon Ke Liye Durust Nahi.


Mas`alah : ( Mard Ko ) Izaar ( Yani Paijama ) Gatton ( Yani Takhnon ) Se Neeche Rakhna Agar Baraaye Takabbur Ho Haraam Hai, Aur Is Surat Me Namaz Makroohe Tahreemi Warna Sirf Makroohe Tanzeehi.

( فتاویٰ رضویہ ج ٧ ص ٣٨٩ مسئلہ ١٠١٩ )


Yani Agar Koyi Banda Aise Hi Apna Paijama Takhnon Se Neeche Rakhe To Gunah Nahi, Magar Agar Takabbur, Ghuroor Ki Wajah Se Aisa Kare To Gunahgaar Hai.

Comments

Popular posts from this blog

Kya Bukhari Shareef Me Saari Ahadees Sahi Hai ? Sihah Sitta Ka Kay Matlab Hai ? (Roman Urdu)

Shadi Ki Fazilat, Shadi Shuda Ki Namaz (Roman Urdu)

Tauba Ke Sharait, Tauba Ke Rukh, Haqqul Abd Ke Talaf Hone Par Tauba, Gunah Par Qaaim Rehkar Taubah Ka Hukm, Poshida Gunaah Ki Taubah, Elaaniyah Gunaah Ki Taubah, Jo Kisi Ko Hidayat Ki Taraf Bulaye Uska Sawaab, Tableegh Ka Sawaab, Neki Ki Dawat Ki Fazilat, Burayi Ki Dawat Ki Mazammat