Zikr Karne Ki Fazilat, Firishte Gher Lete Hai (Roman Urdu)
1) Huzoore Aqdas ﷺ Ne Farmaaya : Aisi Koyi Jamat Nahi Jo Allah Ke Zikr Ke Liye Baithe Magar Unhe Firishte Gher Lete Hai, Rahmat Dhaamp Leti Hai, Un Par Sakeena Utarta Hai, Aur Apne Paas Waale Firishton Me Allah Unka Zikr Farmaata Hai.
( مشكوة المصابيح، الحديث : ٢٢٦١ )
2) Huzoor Purnoor صلى اللّٰه تعالى عليه وسلم عليه Ne Farmaaya : Kuch Firishte Raaston Me Zikrullah ( Karne ) Waalon Ki Talaash Me Ghoomte Rehte Hai, Phir Jab Kisi Qaum Ko Allah Ka Zikr Karte Paate Hai, To Ek Doosre Ko Pukaarte Hai Ke Apne Maqsad Ki Taraf Aavo, Chunanche Woh Firishte Un Zakireen ( Zikr Karne Waalon ) Ko Apne Paron Me Dhaamp Lete Hai.
( مشکوٰۃ المصابیح، الحدیث : ٢٢٦٧ )
Comments
Post a Comment